Bhaiyon abhi to shaam k 4:30 ho rahe hain. 6:00 baje WSN ka quiz hai, uske baad shayad CIS ka bhi hai lekin, yaar sitting in front of my lappy and writing this blog is the only thing that i can think of right now. So i m doing that. Laptop ---> kitni zindagiyan barbaad kari hai isne. lekin iski bhi kya galti, sala hum hi control nahi kar paye. Raat-2 bhar movies dekhna, chahe achchi ho na ho. Hamara excuse.."Sala campus dekha hai, aur kuch karne ko hi nahi hai.".....Karne ko to bahut kuch tha lekin kabhi karne ka man hi nahi kara. Upar se jo karte the unhe galiyan bhi bakte the. Gaaliyan bakna aur bakar karna...yahi to 2 kaam hain jo kiye hain sahi se. Movies bhi aadhe man se dekhte the, taki koi ye na bol de ki yaar tu movie nahi dekh raha hai to padh hi le (sahi bola na Gandhi bhai). Padhai ka naam jo bolta tha use aise responses milte the (hain abhi tak), ki sala vo 1 no. ka chu**** hai jo padhai k bare me soch raha hai. "Are pagal hai kya yaar...abhi nahi.", "Sale abhi CS khelte hain, baad me padhenge", "Yaar ye subject to aakhri din ho jayega", "Hat yaar bahut pakau hai", "Bhai main to abhi movie complete kar raha hoon...uske baad dekhta hoon"....sala padhne k alawa duniya jahan k sare kaam yaad aa jate the us samay.
Ab bhaiyon aisa hai ki dekho maine bola tha ki sabke bare me likhunga, to fir maine socha ki yaar sabke bare me akele likhna to possible hai nahi to aisa karte hain ki sabko groups me divide kar dete hain. Aapko kafi overlapping characters mil sakte hain kafi groups me, agar aap apne aap ko 1 se zyada group ka member nahi pate hain to aapka bad luck. But fir bhi keep on reading. First I'll start with the people jinke bare me social networking sites me sabse kam bola gaya hai but nevertheless, kafi important part hain hamare batch k.
Sorry yaar doosra post karne me time lagega....fugga as usual aake mujhe padhne k liye majboor kar raha tha....WSN ki slides tak bhej di. Ab aap log to jaante hi ho ki 1 zamaane me padhaku sa hua karta tha, vo padhaku bachcha abhi bhi mere andar hi hai, bas bahut gahri neend soya hua hai, aut bahut der me hi sahi kabhi-2 jaag jata hai. To abhi vo jaag gaya hai, isliye please yaar thoda excuse karna. Raat tak to pakka 2-3 groups ka in-depth analysis of my view-point aapke saamne pesh karunga.
Awesome initiative...eagerly waiting for upcoming posts.
ReplyDeletejaldi kar bhai post ..
ReplyDeleteyaar its really too gud dat u intiated.we will be w8ting for next post...
ReplyDeleteaise hi likhte raho....
ReplyDeletekabhi likhna band mat karna..